Monday, January 15, 2018

Ab Mehfil E Ghazal mein Ghazal aashna hai kaun

Ab Mehfil E Ghazal mein Ghazal aashna hai kaun


Ab Mehfil E Ghazal mein Ghazal aashna hai kaun?
Ab Mehfil E Ghazal mein Ghazal aashna hai kaun?
Maanaa K aek hum hain magar dusraa hai kaun?
Qaatil ne jab pukaara K ahl e wafaa hai kaun?
Sab log jab khamosh rahe bol uTha hai kaun?
Tum apni anjuman ka zaraa jaayezaaH to lo
Kahne ko to chiraagh bahut the, jala hai kaun?
Daa�va sukhan ka sab ko hai lekin tamaam umr
Ek dushman e sukhan se mukhatib raha hai kaun?
Sab dekhte jidhar hain udha kya hai kuchh nahi
Hum dekhte jidhar hain udhar dekhta hai kuan?
Tasveer e maikada meri ghazloN mein dekhiye
Sanbhla raha hai kaun, nashe mein gira hai kaun?
Main ek naqsh e paa hun magar main bataunga
Is raah se jo guzra hai woh qaafila hai kaun?
Sab dost aek ek kar ke mujhe chhoRte gaye
Dushman bhi dang hai k ye tanha khaRa hai kaun?
Ghar bhi tera, gali bhi teri, shahr bhi tera
Jo chahe jis ko kah de tujhe rokta hai kaun?
�Aajiz� ye kis se baat karo ho ghazal mein tum?
Parda uThao, hum bhi to dekhien chhupa hai kaun?


go to link download
download